This page will be a collection of shaayaris that I find and like, maybe even write.

Aap ki vo zaalim ada, mujh ko bimaar kargayi, ek baar aapne muskura kya diya, teer ko dil ke paar kargayi.

Der raat jab kisi ki yad sataye, thandi hawa jab zulfon ko sahlaye, karlo aankhein band aur so jao, kya pata jiska hai khayaal wo khwabon mein aa jaye.

Khaamosh raat ke pehlu main sitare na hote, In rukhi aankhon main rangin nazare na hote, Yakin maniye hum bhi na karte parwah, Agar aap itne pyaare na hote.

Gham main hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata, lehro se pani ko hataya nahi jata, hone wale ho jate hain khudhi dil se apne, kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, Muskura rahe the hum par aankhon mein nami si thi, Saath hamare ye jahan tha sara, Par na jaane kyun tumhari kami si thi.

Kya kahen aapse, hum thode pagal se hain… Kya kahen aapse hum thode pagal se hain…. ishq vishq aur mohabbat main, hum thode ghayal se hain ~ This one is my shaayari [not that good but come on at 6.30am you can't ask for something better]

[ Shaayaris are heard/found/read from somewhere else unless mentioned specifically ]